Bible Addyayan

Balak








Agar aapke pas bhi Baccho ke liye koi kahani he to hame bhej de.
Adhik jankari ke liye sub-page "Sampark" dekhe.





Sone ki Anguthi
          Ak raja tha. Wah bahut buddhiman aur chalak tha; parantu uski maharani bahut bholi thi aur mahatvpurn baat ye he ki wah bhulakkad thi. Kab kidhar konsi chij rakhi he ye bhi use yaad nahi rahta tha. Bahut salo se raja apne janta ki hifajat acche tarike se kar raha tha; esi karan sari janta raja se bahut khush thi.
          Ak baar aisa hua ki, raja ne maharani ko ak bahut hi sundar sone ki anguthi di. Wo anguthi maharani ko bahut pasand aai. Maharani har roj wo sone ki anguthi hath me pahna karti thi. Kuch esi prakar din bitate gaye aur ak din maharani ne snan karte samay anguthi ko utar tebal par rakha. Fir snan hone ke baad maharani us anguthi ko pahanna bhul gai aur vaise hi apne kamre me chali gai. Maharani ke ak dasi ne ye sab dekha; use maharani ki bhulne ki aadat pata thi aur usne esi karan vah anguthi vaha se utha li aur apne pas chupa ke rakh di. Maharani ke pas kai sare jevar hone ke karan use ye anguthi gum hone ka pata nahi chal paya. Kuch dino ke baad rajdarbar ke kisi sipahi ne us dasi ke pas maharani ki wo anguthi dekhi. Ak dasi ke pas sone ki anguthi dekhkar wo samaj gaya ki jarur isne maharani ke jevar se wo churai hogi. Us sipahi ko lalsa ho gai aur usne us dasi par nazar rakhkar wo sone ki anguthi usse chura li. Hua aise ki jis din us sipahi ne wo anguthi churai usi din raja ne maharani se us anguthi ka jikr kiya aur maharani wo anguthi dhundne lagi. Par anguthi milti kaise wo to kab ki chori ho gai thi. Agle kuch ki ghanto me sare rajy me maharani ki sone ki anguthi gum hone ki khabar fail gai. Raja ne turant rajdarbar me rahnewale sari dasiya aur sipahiyo ko ekattha kiya; Ab wo dasi bahut dar gai jisne maharani ki wo anguthi churai thi aur usse jyada wah sipahi bhaybhit hua jiske pas filhal wo sone ki anguthi maujud thi. Raja ne bade hi achanak sabko ekatta karne ki vajah se us sipahi ko wo anguthi chupane ke liye samay hi mila nahi. Raja ne sabki talashi lena shuru kiya aur parinamat wah sipahi pakada gaya. Pakde jane par wah sipahi raja ke pairo me girkar raja se kshama mangne laga; lekin raja ne usse kaha, tuze aaj me kshama kar dunga to tu fir chori kar sakta he; kyu ki tune apna gunah khud kabul nahi kiya he tu pakda jane par mafi maang raha he; Aur vaise bhi aaj tuze uhi chod dunga to kal koi aur chori karne ki himmat karega. Es karan tuze apne gunah ka dand avashy milega. Mai tuze saja jarur dunga kyu ki kshama karne ke liye mai khuda nahi hu. Aur aisa kahkar raja ne use kode marne ki aagya di. Us sipahi ne us dasi ka bhi naam bataya jis se usne wo sone ki anguthi churai thi. Tab us dasi ko bhi saja di gai.
          Mere chote chote pyare mitro, dekha aapne chori karne ka kya natija hua. Wo dasi aur wo sipahi dono bhi bach na sake. Bhale hi kuch dino baad lekin un dono ko saja mili. Chori karnewala kabhi na kabhi pakda jarur jata he aur use saja milti he. Esiliye chori kabhi bhi na karna, tum jab skul jate ho to apne sathiyo ki kisi chij ko churane ka khayal bhi dil me aane na dena. Parmeshwar ne hame diye huye das aagyao me se ak aagya he, chori na karna. Yaad rahe Parmeshwar hame har waqt dekh raha hota he; esi karan us Parmeshwar se daro aur chori karne ke gunah se dur raho.

*** Is hindi christian website ko bhet dene ke liye bahut bahut Dhayawad! *** This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free