Kavitaye

Agar aapke pas bhi Yeshu par aadharit koi kavita he to hame bhej de.
Adhik jankari ke liye sub-page "Sampark" dekhe.
⇒ Eshu ka Pyar
WO mohabbat ka hai raja Eshu Mashiha...
Sabko pyar karna sikhaya Hamare Eshu Mashiha...
Mohabbat ki usne bepanah is jahan ko
Gunhaon me na dek sake Wo hamko
Usi pyar ke khatir hua crus par Wo kurbaan
Apna har ek lahu SE diya Ham sabko ek naya jibandan
Ek nayee subah mile hame Eshu k pyaar ke
Rahi he hum milegi Hume hamari WO manjil ke
Milkar rahenge hum sab sang Eshu ke
jahan hme milegi shanti anand Eshu ke
Pyaar ka Raja Ek Eshu mashih he
Eshu hi jeeban ki sada anand he....
- Blessy Samamtray,
Bhubaneswar (India).
⇒ Sawaal
Jab Parmeshwar ke aklaute putr ko manushy ke
papo ke karan crus par chadhaya gaya tab
Uske shishyo se un teen khilo ne ye sawaal puche -
Dard to bahot hua tha tab
Jab hatho pairo pe Uske hame thoka gaya
Par karte bhi kya ham thahare bejaan khile
Lekin tumse ye shishyo kaise ye saha gaya?
Aah nikli thi dil se hamare bhi
Jab hatho pairo se Uske lahu baha gaya
Par karte bhi kya ham thahare bejuban khile
Lekin tumse ye shishyo kaise chup raha gaya?
Aasu aaye the aakho me hamare bhi
Jab keval ham par hi Usko latkaya gaya
Par karte bhi kya ham thahare sirf teen khile
Lekin tumse ye shishyo kaise sab dekha gaya?
⇒ Kabhi Kabhi...
Kabhi Kabhi sochta hu
Na deta tu jaan apni ham insano ke liye
Jinda to rahte ham keval marne ke liye
Kabhi Kabhi sochta hu
Na bahata agar tu lahu ham papiyo ke liye
Dag dhul to jate hamare maile hone ke liye
Kabhi Kabhi sochta hu
Na had par karta tu pyar ki hamare liye
Mohabbat pa to lete ham chot khane ke liye
Kabhi Kabhi sochta hu
Na deta tu shanti apni ham bechaino ke liye
Chain mil to jata hame bechain hone ke liye
Sikh : Duniya se jo milta he wo simit he;
Yeshu se jo milta he wo asimit he.
⇒ Yeshu tere bin...
Ye zindagi he adhuri Yeshu tere bin
Kuch bhi nahi mai, meri ye zindagi tere bin
Andheri rahe thi akeli tanhai thi
Na thi koi manjil na khud ki pehchan thi
Bhigi si aakhe dard ke parcchai si
Hu mai teri rachna fir bhi,
tere mohabbat se anjani si
Bankar ujala aaya Yeshu tu meri zindagi me
Kitna pyar kiya tune
maaf kiya mere gunaho ko tune
Tod ke sare gunah ke bandhan
Yeshu de gaya nayee khushiyo ke daman
Har pal mile muze shanti pyar ke angan
Dhanyawad du aaj tere pyar ko mai....
- Blessy Samantray,
Bhubaneswar (India).