Bible Addyayan

Padhai





Agar aapke pas bhi kisi vachan ya addhyay par study he to hame bhej de.
Adhik jankari ke liye sub-page "Sampark" dekhe.


PaapKshama 
          Mere priy vishwasi logo, Is April ke mahine me ‘Good Friday’ aur ‘Estar’ ye do tyohar aaye huye he; Good Friday ke din Yeshu Masih ne crus par kahe huye saat vakyo ka dhyan karna aur Estar ke din Yeshu mrutako me se ji utha he ki ghoshna karna aisi ham christian logo ki purani parampara he. Saal dar saal Good Friday ke din Yeshu ne kahe huye saat vakyo par prachar kiya jata he parantu in vakyo ka matlab logo ki samaj me kitna aaya ye pata nahi. Aaj me bhi in vakyo ka matlab samjane ki ak choti si koshish karta hu aur aasha karta hu ki aap ise samaj lenge. Pavitr Aatma aapko sahayata kare!
          Ham sab vakyo ka dhyan nahi karenge; Yeshu Masih ne crus se kaha huva pahale vaky par hi ham manan karenge, Tab Yeshu ne kaha,
    “He Pita, inhe kshama kar, kyu ki ye jante nahi ki kya kar rahe he.”
                                                                                        (Luka 23:34)
          Ye pahla hi vaky Prabhu Yeshu ne kuch aisa kaha ki sab achambit ho gaye. Aaj bhi koi anny jati ka (non-christian) insan Bible padhte huye is vaky tak aata he tab wo soch me gir jata he ki ye kaise sambhav he? Itne kathin halat me koi apne dushman ko kaise maaf kar sakta he? Sach mere mitro, hamare aakho ke samne keval itna hi chitr aata he ki crus par Yeshu Masih ne ye vaky kaha parantu ham ye bhul jate he ki kin halat me Yeshu ye vaky keh raha he. Jab Yeshu Masih apne chelo ke sath gatsamni namak sthan par aaya tha tab hi wo puri tarah tut chuka tha. Ak insan ko mushkil ke halat me jo himmat apne logo se chihiye hoti he vo Use nahi mil payi (Markus 14:32-42); keval itna hi nahi to wo sab chele Use akela chodkar bhag gaye (Markus 14:50). Aur fir bad me jab Yeshu ko pakada gaya tab Uski kitni buri halat ki gayi ye ham acchi tarah jante he. Uska majak banaya gaya, Use kode lagvaye gaye, pyado me se ak ne to Use thappad mara, Uske muh par thuka gaya, Use kato ka mugut pahnaya gaya; ak hi raat Use in sari kathinaiyo aur mushkilo ka samna karna pada. Man se aur tan se bhi nishchay Yeshu puri tarah tut chuka tha. Sabse vishesh baat ye he ki jis manushy jati ke liye Wo crus par chadhaya ja raha tha wo manushy jati hi Uska is prakar chal kar rahi thi. Socho, jab ham kisi ke liye apni jaan daav pe lagakar kuch karte he aur wo us baat ko na samajte huye usi baat ke liye hame jimmedar thahrata he tab kaisa lagta he? Sachmuch wo dukh sahna bada mushkil hota he. Yeshu Masih in sari halat se gujar raha tha aur fir bhi Wo Pita Parmeshwar se un logo ke liye Kshama mang raha tha. Aise kathin halat me kisi ko kshama karna ye badi hi mushkil baat he lekin Yeshu Masih ne bade hi aasani se kshama karke dikha di. Yeshu Masih un logo ke kshama ke liye Parmeshwar se kyu binti kar raha tha, is baat ke mai do karan bata sakta hu. Pahala ye he ki, Yeshu ne khud vaisa logo sikhaya tha (Matti 5:44) aur dusra ye he ki, papo ki kshama ke liye hame pahle dusro ko kshama karna jaruri he (Markus 11:25, Matti 6:14,15).
          Dekho, Jab Yeshu Masih ne khud apne bairi se prem karna sikhaya, satanewalo ke liye prarthna karna sikhaya aur jab Wo khud vaisa karte huye nahi dikha hota to Uski shiksha ko koi mahattv na raha hota. Kahane ka matlab aise ki Yeshu Masih ne jo sikhaya uska Usne practical bhi karke dikha diya. Aaj dekha gaya to bahut se Pastor church me jo sandesh dete he wo khud uspar chalte huye nahi dikhte; esi karan kai sare logo ke liye wo thokar lagne ka patthar ban jate he. Baat kuch bhi ho, ham pastor ho ya kalisiya ke sadasy hame us prakar rahna chahiye jis prakar ke shabd ham apne muh se nikalte he; Aur iske liye Yeshu ne kaha hua ye pahla vaky misal he. aur to aur kshama pane ke liye kshama karna jaruri he. Yaad rahe, paap ki majduri mrutyu he (Romiyo 6:23). Ham jante he ki, Yeshu Masih papi nahi tha lekin ab Uske paas sare jagat ke paap the esi karan Wo mara. Ab Yeshu Masih ne bairiyo ko kshama ki fir vachan ke anusar Use kshama kyu nahi hui? Kyu Use dand sehna pada? Iska jawab ye he mitro ke Yeshu masih ko bilkul kshama hui lekin hua aise ke Usne hamara dand lekar apni kshama hame de di. Esi liye ab jo nazar aa raha he wo aise ki Yeshu Masih ko dand hua aur ham insano ko kshama prapt hui. Ooh! Kitna Pyara He Mera Yeshu Masih! Praise the Lord!
          Yaha par ak aur baat ham dekhte he ki, Yeshu Masih ko khud papo ki kshama karne ka adhikar he (Markus 2:10); parantu Wo fir bhi yaha Parmeshwar ko kshama karne ke liye kah raha he, kyu? kyu ki Wo chahta he ki Parmeshwar ke krodh se sari manavjati bach jaye. Kitni Adbhut baat he, ak wo isaan jiska sabne tyag kiya, bure haal kiye wo un hi logo ko Parmeshwar ke krodh se bacha raha he. Kaisa Ye Pyaar He! Parmeshwar un logo ko kshama kar de esliye Yeshu Masih yaha ak vakil jaisa kaam kar raha he. Un logo ki tarafdari karte huye Wo is baat ki kabuli deta he ki unhone jo kiya wo apradh he; lekin wo apradh wo log na samji me kar rahe he. Yeshu unhe yaha nasamaj bata kar dand se chuda raha he. Hame pata he ki, koi gunahgar agar nasamaj / 18 umar ke niche ho to use koi kathin saja nahi di jati. Yeshu Masih pure hruday se un logo par prem karta hua dikh raha he; Aur Uska wo prem keval us waqt un logo ke liye hi nahi tha balki aaj ham sab ke liye bhi uplabdh he. To chalo jisne hame kshama kar ham par itna prem kiya ham bhi uske jaisa logo ko kshama kar apna prem dikhyenge.
                                                                         
Nai Aagya 

          "Mai tumhe ak nai aagya deta hu ki ak dusre se prem rakho; jaisa maine tumse prem rakha he, vaisa hi tum bhi ak dusre se prem rakho" (Yuhanna 13:34).
          Parmeshwar ke priy logo, chalo aaj ham upar diye huye vachan par manan karte he. Muze pata nahi ki aapne is vachan ko pahle kabhi padha he ya nahi? Padha he to kitni baar padha he aur uska matlab aapke samaj me aaya ya nahi? Parantu koi baat nahi aaj ham is vachan par thoda gehrai se sochenge.
          Kuch vachan padhne par bahut aasaan lagte he aur unka matlab bhi hame samaj aata he; lekin fir bhi Yirmayah 33:3 anusar jab ham Parmeshwar ko pukarte he aur vachan par manan karte he to hame us vachan ki gehari baate samaj aati he. Yuhanna 13:34 ye vachan kuch aise hi vachano me se ak he. Is vachan ko padhne par samaj aata he ki, Yeshu ne jaise sab logo se prem kiya vaise hi hame ak dusre se prem karne ko kaha he. Parantu mere priy logo, kya aapko pata he kisi ki takat kitni he ye janne ke liye uske viruddh takat lagani padhti he? Bible Pavitr Aatma ke uttejan dwara likhi jane se har ak shabd me ak gehara raj chupa he; isliye jab tak tum unke viruddh sawal khade nahi karte tab tak tumhe uske piche chupi geharai ka pata chalna mushkil he. Yuhanna 13:34 ye vachan padhne par bada aasaan kyu na lage par jab ham uspar sawal khade karenge tab Pavitr Aatma hame uski geharai jarur batayega. Is vachan ki pahli lain ham dekhenge - Mai tumhe ak nai aagya deta hu ki, ak dusre se prem rakho. Ab is par sochne par hame pata chalta he ki ye koi nai aagya nahi thi fir bhi Yeshu yaha ‘Nai Aagya’ aisa kahta he; Dekha jaye to khud usne hi isse pahle Luka 6:27 aur Matti 5:43,44 in vachano me apne padosi se prem rakhne ko kaha he. Purane Niyam me bhi Laivyavyavashta 19:18 me apne padosi se prem rakhne ki aagya di gai thi. Keval itna hi nahi apne padosi se prem rakhne ke liye apna padosi kaun he? ye samjane ke liye Yeshu Masih ne Dyalu Samri ka drushtant deke logo ko samjaya tha (Luka 10:30-37). Fir Yeshu yaha mai nai aagya deta hu aisa kyu kah raha he? uska uttar aisa he ki isse pahle bhi Yeshu ne apne padosi se prem rakhne ko kaha wo jaisa ham khud se prem rakhte he vaisa. Prantu ab Yeshu yaha ‘Jaisa khud se’ in shabd ko nikalkar vaha ‘jaisa maine tumse prem kiya vaise’ in shabdo ka istemal kar raha he. yahi karan he ki wo is aagya ko nai aagya kah raha he. Yeshu ne aisa kiya kyu ki wo hamara prem aur uska prem in dono me kya antar he ye acchi tarah se samaj chuka tha. Aaj tak bhale hi ham jaisa khud se rakhte he vaisa dusro se prem rakhte aaye honge parantu aaj ke bad hame jaisa Yeashu ne hamse prem kiya vaisa prem dusro se karna he. Yahi Yeshu ki aagya he kyu ki jab tak ham logo se khud jaisa prem karte he, ham logo ko ak baar, do baar, teen baar kshama karenge lekin har baar nahi kar payenge; jab ki Yeshu ne apne bairio ko hamesha kshama hi ki he esiliye to usne Matti 18:21,22 me patras se kaha ki saat baar ke sattar gune tak kshama karna matlab hamesha hi kshama karte rahena. Aur Yuhanna 13:35 ke anusar, jab ham Yeshu jaisa prem rakhenge to log janenge ki ham uske chele he.
          Yeshu hame uske jaise prem karne ko kah raha he iske piche kya vajah he? bas itni hi ki tab log janenge ham uske chele he? Nahi dosto, Prabhu Yeshu ko aur bhi kuch iske dwara batana he. Vaise dekha gaya to prem ye prem hota he; ham use kam-jyada, saccha-zutha in jaise shabdo se jodte he. Ha lekin ye bhi sach he ki prem jis vyakti se hame milta he wo vyakti jab kabhi badal jati he to hame saccha-zutha jaise shado ka sahara lena padta he. Is baat ko acchi tarah samjne ke liye ham ak udaharan dekhenge - Mano agar ak badi pani ki tanki he aur use 1 inch se lekar 12 inch tak ke 12 paip jode he; fir tanki ko pani se pura bhar diya jaye to kya hoga? Har ak paip se pani bahar niklenga. Par jara socho ki 1 inch ke paip se nikalnewali pani ki dhara 12 inch ke paip se nikalnewali pani ki dhara itni hogi kya? Nahi! kyu ki 1 inch ka paip 12 inch wale paip se chota he. Pani to pura ak jaisa hi he par jaha se wo nikal raha he uspar wo nirbhay karta he pani ki dhara kitni kam ya adhik hogi.
          Esi prakar prem hamko kis vyakti se milta he uspar wo nirbhay hota he ki kam he ya adhik he? iska matlab hamari maa hamse karti wo prem aur hamara koi dost hamse karta wo prem inme se nishchay hi maa ka prem adhik hota he. Prabhu Yeshu ko hame wahi baat samjani he ki jag ke kisi bhi vyakti jaise hamne dusro se prem rakha to wo kabhi to, kahi to apna swarth dekhega; wo prem ke badle hi aksar prem dene ki bhavna rakhega; aur vaise bhi wo kabhi bhi bair me badal sakta he ya khatm ho sakta he; kyu ki jag ke logo ke pas vaisa prem nahi he aur is sacchai ka pata hame paper se ya TV se lagta he. Esiliye mere priy logo,
keval Yeshu ka hi prem aisa he ki use ant nahi he,wo kabhi swarth nahi dekhta, kabhi bhi bair me nahi badalta. Yahi karan he ki Yeshu hame uske jaisa prem rakhne ko kahta he varna wo keval intna hi kahta ki ak dusre se prem rakho. Jab Yeshu is duniya me tha to wo Parmeshwar ke prem se paripurn tha. Yeshu ne hamse jo prem kiya wo Parmeshwar se use mila hua prem tha (Yuhanna 15:9, 5:19,20) aur esi karan hame wo Yeshu se mila hua prem har ak logo tak pahunchana he. Yeshu ne hame aagya di he aur ab ye hamari jimmedari ban gai he ki, hame ak dusre se vaisa hi prem rakhna he jaisa Yeshu ne hamse kiya he. Amen!
*** Is hindi christian website ko bhet dene ke liye bahut bahut Dhayawad! *** This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free